Saturday, August 1, 2015

Jaza pe chor diya, saza pe chor diya
Har ek kaam ko hum ne khuda pe chor diya

Wo hum ko yaad rakhta ya phir bhula deta
Usi ka kaam tha uski raza pe chor diya

Ab us ki marzi bujha de ya phir jala rakhay
Chiragh jo hum ne jala k hawa pe chor diya

Ab us se baat bhi kartey tou kis tarha kartey
Ye masla anaa ka tha anaa pe chor diya

Is liye wo kehtay hain be-wafa hum ko
Kay hum ne sara zamana wafa pe chor diya

No comments: