Wafa mein ab ye hunar ikhtiyaar karna hai
Wo such kahe na kahe aitbaar karna hai
Ye tujh ko jaagte rehne ka shouq kab se hua?
Mujhe tou khair tera intizaar karna hai
Hawa ki zad mein jalane hain aansoun k chiragh
Kabhi ye jashn sar-e-rah guzaar karna hai
Woh muskura k naye waswason mein daal gaya
Khayal tha k usay sharmsaar karna hai
Tere fikar mein din kis tarha katin apne
Keh shughal-e-shab tou sitare shumaar karna hai
Chalo ye ashk hi moti samajh k beh aayen
Kisi tarha tou hamein rozgaar karna hai
Kabhi tou dil mein chupe zakhm bhi numaya hon
Qabaa samajh k badan taar taar karna hai
Khuda khair ye koi zid k shouq hain Mohsin
Khud apni jaan k dushman se pyaar karna hai
No comments:
Post a Comment